Deep Quotes In Urdu About Life

Zindagi ek safar hai jo be hisab tajurbon, jazbaaton, aur sabaqon se bhara hua hai. Kabhi kabhi, chand alfaz mein chupay huay gehraai se bharay nasihaton ka asar bohot gehra hota hai, aj ham apky sath Deep Quotes In Urdu About Life Urdu Quotes ko share karengy hamain yaqeen hain kay apko buhat pasand ayengy.


Deep Quotes In Urdu About Life Urdu Quotes


Kamyab log apne faislon se duniya badal dete hain.

Jhoot ke darakhton par yaqeen ki chirya wapas nahi aati.


Jo keel nikla hota hai, hathora us ka muqaddar hota hai.


Sachay log tareef ke mohtaaj nahi hotay… jaise phoolon ko kabhi khushbu nahi lagayi jati.


Kapray jism ko dhanp letay hain, lekin baat cheet aik pal mein insan ki asliyat dikha deti hai.




Jhoot ki raftaar bohat taiz hoti hai, lekin aakhir mein sirf sach hi pohanchta hai.


Jahan mohabbat hoti hai, wahan na mumkin kuch nahi hota.


Burai buray logon se nahi, achay logon ke chup rehne se phailti hai.


Sab ko maaf kar ke soya karo, zindagi kal ki mohtaaj nahi hoti.


Bara kaam wahi kar sakta hai jo khud ko chhota banane par raazi ho jaye.



Purane ghamon par naye aansu zaya na karo.

Rishtay motiyon ki tarah qeemti hotay hain, kho jayein to dhoond lena chahiye, aur gir jayein to utha lena chahiye.


Andhere par lanat bhejne se behtar hai ke aik diya jala do.


Un logon se mat daro jo badla lena jante hain, balkay un se daro jo apna maamla Allah par chor dete hain.


Jhoot ka bhi aik zayqa hota hai, khud bolo to meetha lagta hai, aur doosra bolay to karwa lagta hai.


Agar zindagi itni hi achi hoti to koi bhi rote hue na aata.

Zindagi mein jo log koshish nahi karte, wo kabhi kamiyab nahi hote.


Insaan woh laraai kabhi nahi jeet sakta jis mein dushman us ke apne hon.


Aap ki manzil wahan tak hai jahan tak aap himmat nahi hartay.


Taleem jis ke andar aati hai, wo saadgi ikhtiyar karta hai, aur jis ke upar se guzarti hai, wo modern ban jata hai.




Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top