Friendship Quotes in Urdu English
Hamesha sachay logon se dosti rakho kyun ke woh achay dinon mein sarmaya aur bure dinon mein mohafiz hote hain.
Doston ki zindagi mein iss namak ki tarah raho jo khane mein to dikhai nahin deta lekin agar na ho to uski kami zaroor mehsoos hoti hai.
Apne Waqt Sy Zaida Acha Dost aziz rakho kiyunkay Acha Dost Buray Waqat Ko Bhi Acha Bana Daita Hain.
Sacha, achha aur behtareen dost woh hota hai jo khud to aap ko jo marzi kahe magar jab koi aur aap ko kuch kahe to us waqt woh aap ka sab se bara hamayi ho.
Dosti bhi wahi achhi hoti hai jis mein bolne se pehle sochna na pare.
Dost woh hai jo gham ko kam kar de aur khushi ko zyada.
Har aise dost par bharosa karo jo mushkil mein tumhare kaam aaya ho.
Mukhlis dost ke ander pyaar chhupa hota hai jaise ek chhotey se beech ke andar poora darakht chhupa hota hai.
Beshak apni har cheez achay dost ke liye qurbaan kardo lekin kisi cheez ke liye apne dost ko qurbaan mat karna.
Jo shakhs tum pe ghusa bhi kare aur talluq bhi khatam na kare to woh bure waqt mein tumhara sab se achha dost hai.
Sachay dost khushiyon mein zeenat aur pareshaniyon mein sahara hote hain.
Dost beshak ek ho magar aisa ho alfaz se zyada khamoshi samjhe.
Haqeeqi dost woh hai jo aap ki taraf us waqt aata hai jab saari duniya aap ko chhor chuki hoti hai.
Kabhi apne dost ki sachai ka imtehan na lo, kiya pata us waqt woh majboor ho aur tum ek achha dost kho baithe ho.